ghurub-e-sham hi se KHud ko yun mahsus karta hun
ġhurūb-e-shām hī se ḳhud ko yuuñ mahsūs kartā huuñ
ki jaise ik diyā huuñ aur havā kī zad pe rakkhā huuñ
chamaktī dhuup tum apne hī dāman meñ na bhar lenā
maiñ saarī raat peḌoñ kī tarah bārish meñ bhīgā huuñ
ye kis āvāz kā bosa mire hoñToñ pe kāñpā hai
maiñ pichhlī sab sadāoñ kī halāvat bhuul baiThā huuñ
bichhaḌ ke tum se maiñ ne bhī koī sāthī nahīñ DhūñDā
hujūm-e-rahguzar meñ duur tak dekho akelā huuñ
koī TuuTā huā rishta na dāman se ulajh jaa.e
tumhāre saath pahlī baar bāzāroñ meñ niklā huuñ
maiñ gir ke TuuT jā.ūñ yā koī mehrāb mil jaa.e
na jaane kab se hāthoñ meñ khilaunā ban ke jiitā huuñ
ghurub-e-sham hi se KHud ko yun mahsus karta hun
ki jaise ek diya hun aur hawa ki zad pe rakkha hun
chamakti dhup tum apne hi daman mein na bhar lena
main sari raat peDon ki tarah barish mein bhiga hun
ye kis aawaz ka bosa mere honTon pe kanpa hai
main pichhli sab sadaon ki halawat bhul baiTha hun
bichhaD ke tum se main ne bhi koi sathi nahin DhunDa
hujum-e-rahguzar mein dur tak dekho akela hun
koi TuTa hua rishta na daman se ulajh jae
tumhaare sath pahli bar bazaron mein nikla hun
main gir ke TuT jaun ya koi mehrab mil jae
na jaane kab se hathon mein khilauna ban ke jita hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.