guzarna hai ji se guzar jaiye
guzarnā hai jī se guzar jā.iye
liye dīda-e-tar kidhar jā.iye
khule dil se miltā nahīñ ab koī
use bhūlne kis ke ghar jā.iye
subuk-rau hai mauj-e-ġham-e-dil abhī
abhī vaqt hai paar utar jā.iye
ulaT to diyā parda-e-shab magar
nahīñ sūjhtā ab kidhar jā.iye
ilāj-e-ġham-e-dil na sahrā na ghar
vahī hū kā aalam jidhar jā.iye
isī moḌ par ham hue the judā
mile haiñ to dam bhar Thahar jā.iye
kaThin haiñ bahut hijr ke marhale
taqāzā hai hañs kar guzar jā.iye
ab us dar kī 'aḳhtar' havā aur hai
liye apne shām-o-sahar jā.iye
guzarna hai ji se guzar jaiye
liye dida-e-tar kidhar jaiye
khule dil se milta nahin ab koi
use bhulne kis ke ghar jaiye
subuk-rau hai mauj-e-gham-e-dil abhi
abhi waqt hai par utar jaiye
ulaT to diya parda-e-shab magar
nahin sujhta ab kidhar jaiye
ilaj-e-gham-e-dil na sahra na ghar
wahi hu ka aalam jidhar jaiye
isi moD par hum hue the juda
mile hain to dam bhar Thahar jaiye
kaThin hain bahut hijr ke marhale
taqaza hai hans kar guzar jaiye
ab us dar ki 'aKHtar' hawa aur hai
liye apne sham-o-sahar jaiye
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 294)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.