guzarne ko to apni zindagi ab bhi guzarti hai
guzarne ko to apnī zindagī ab bhī guzartī hai
magar aise ki jaise chob se aarī guzartī hai
tirā milnā tirā mil kar bichhaḌnā yaad aatā hai
kisī signal pe ruk kar jab koī gaaḌī guzartī hai
mirā din bhī mirī shab kī tarah tārīk rahtā hai
ye kaisī raat hai jo sub.h tak aadhī guzartī hai
mirī ḳhāmosh dastak par khule jaate haiñ darvāze
sadā-e-be-sadā kamroñ se kuchh jaldī guzartī hai
mire kamre meñ jab pahlī kiran sūraj kī aatī hai
fanā ke karb se shab bhar kī tārīkī guzartī hai
kisī nā-ḳhvāñda būḌhe kī tarah ḳhat us kā paḌhtā huuñ
ki sau sau baar har ik lafz se unglī guzartī hai
hamāre gaañv meñ ab koī bhī gaaḌī nahīñ ruktī
agarche rail kī paTrī yuuñ hī ab bhī guzartī hai
mirī maano to apne band kamre meñ chale jaao
kabhī tanhā.ī meñ bhī zindagī achchhī guzartī hai
hamesha thaam kar rakhtā huuñ maiñ ummīd kā dāman
bahut māyūs ho kar mujh se māyūsī guzartī hai
guzar aaya huuñ us bastī se maiñ 'at.har-azīm' āḳhir
mire andar se ab har roz ik bastī guzartī hai
guzarne ko to apni zindagi ab bhi guzarti hai
magar aise ki jaise chob se aari guzarti hai
tera milna tera mil kar bichhaDna yaad aata hai
kisi signal pe ruk kar jab koi gaDi guzarti hai
mera din bhi meri shab ki tarah tarik rahta hai
ye kaisi raat hai jo subh tak aadhi guzarti hai
meri KHamosh dastak par khule jate hain darwaze
sada-e-be-sada kamron se kuchh jaldi guzarti hai
mere kamre mein jab pahli kiran suraj ki aati hai
fana ke karb se shab bhar ki tariki guzarti hai
kisi na-KHwanda buDhe ki tarah KHat us ka paDhta hun
ki sau sau bar har ek lafz se ungli guzarti hai
hamare ganw mein ab koi bhi gaDi nahin rukti
agarche rail ki paTri yun hi ab bhi guzarti hai
meri mano to apne band kamre mein chale jao
kabhi tanhai mein bhi zindagi achchhi guzarti hai
hamesha tham kar rakhta hun main ummid ka daman
bahut mayus ho kar mujh se mayusi guzarti hai
guzar aaya hun us basti se main 'athar-azim' aaKHir
mere andar se ab har roz ek basti guzarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.