Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi

Faiz Ahmad Faiz

nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi

Faiz Ahmad Faiz

nahīñ nigāh meñ manzil to justujū sahī

nahīñ visāl mayassar to aarzū sahī

na tan meñ ḳhuun farāham na ashk āñkhoñ meñ

namāz-e-shauq to vājib hai be-vuzū sahī

kisī tarah to jame bazm mai-kade vaalo

nahīñ jo bāda-o-sāġhar to hāv-hū sahī

gar intizār kaThin hai to jab talak ai dil

kisī ke vāda-e-fardā guftugū sahī

dayār-e-ġhair meñ mahram agar nahīñ koī

to 'faiz' zikr-e-vatan apne rū-ba-rū sahī

nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi

nahin visal mayassar to aarzu hi sahi

na tan mein KHun faraham na ashk aankhon mein

namaz-e-shauq to wajib hai be-wuzu hi sahi

kisi tarah to jame bazm mai-kade walo

nahin jo baada-o-saghar to haw-hu hi sahi

gar intizar kaThin hai to jab talak ai dil

kisi ke wada-e-farda ki guftugu hi sahi

dayar-e-ghair mein mahram agar nahin koi

to 'faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Iqbal Bano

Iqbal Bano

Faiz Ahmad Faiz

Faiz Ahmad Faiz

Abida Parveen

Abida Parveen

Teena Sani

Teena Sani

RECITATIONS

Abida Parveen

Abida Parveen,

00:00/00:00
Abida Parveen

nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi Abida Parveen

Source :
  • Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 696)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now