aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

han miyan sach hai tumhaari to bala hi jaane

Baqaullah 'Baqa'

han miyan sach hai tumhaari to bala hi jaane

Baqaullah 'Baqa'

MORE BYBaqaullah 'Baqa'

    haañ miyāñ sach hai tumhārī to balā jaane

    jo guzartī hai mire dil pe ḳhudā jaane

    dil se nikle kahīñ pā-bosī-e-qātil havas

    kaash vo ḳhuuñ ko mire rañg-e-hinā jaane

    dil vāshud pe abas aah ne khīñchī taklīf

    kholne uqde to ġhunchoñ ke sabā jaane

    roz-o-shab naza.a meñ hai āshiq-e-chashm-o-lab-e-yār

    na to jiinā vo samjhe na fanā jaane

    ham to nit duur se ḳhamyāza-kash-e-hasrat haiñ

    lazzat-e-bos-o-kanār us hayā jaane

    tere bīmār ko kyā hove shifā jis ke tabīb

    na to kuchh dard ko samjhe na davā jaane

    pūchh is dil se jo hai kaaT tire abrū

    jauhar-e-burrash-e-shamshīr sipāhī jaane

    apnī marzī to ye hai banda-e-but ho rahiye

    aage marzī hai ḳhudā so ḳhudā jaane

    taur par apne suḳhan kaun burā kahtā hai

    par ye andāz jo pūchho to 'baqā' jaane

    han miyan sach hai tumhaari to bala hi jaane

    jo guzarti hai mere dil pe KHuda hi jaane

    dil se nikle kahin pa-bosi-e-qatil ki hawas

    kash wo KHun ko mere rang-e-hina hi jaane

    dil ki washud pe abas aah ne khinchi taklif

    kholne uqde to ghunchon ke saba hi jaane

    roz-o-shab naza mein hai aashiq-e-chashm-o-lab-e-yar

    na to jina hi wo samjhe na fana hi jaane

    hum to nit dur se KHamyaza-kash-e-hasrat hain

    lazzat-e-bos-o-kanar us ki haya hi jaane

    tere bimar ko kya howe shifa jis ke tabib

    na to kuchh dard ko samjhe na dawa hi jaane

    puchh is dil se jo hai kaT tere abru ka

    jauhar-e-burrash-e-shamshir sipahi jaane

    apni marzi to ye hai banda-e-but ho rahiye

    aage marzi hai KHuda ki so KHuda hi jaane

    taur par apne suKHan kaun bura kahta hai

    par ye andaz jo puchho to 'baqa' hi jaane

    Source:

    Deewan-e-Baqa (Pg. ebook-63 page-42)

    • Author: Khwaja Ahmad Faruqi
      • Publisher: Shoba-e-Urdu, Delhi University, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now