Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai iztirab har ek rang ko bikharne ka

Hakeem Manzoor

hai iztirab har ek rang ko bikharne ka

Hakeem Manzoor

hai iztirāb har ik rañg ko bikharne

ki āftāb nahīñ raat bhar Thaharne

mujassame tarah mausamoñ ko sahtā hai

vo muntazir hai koī hādsa guzarne

laTakte sūkhte ye naqsh yūñhī ro.eñge

guzar gayā hai jo mausam thā rañg bharne

vo aa.ine se agar ho gayā hai be-parvā

javāz kyā hai use phir kisī se Darne

giregī kal bhī yahī dhuup aur yahī shabnam

is āsmāñ se nahīñ aur kuchh utarne

ab aag aag hai niile pahāḌ manzar

hameñ thā shauq bahut us ke paar utarne

agarche us har ik baat khurdurī hai bahut

mujhe pasand hai Dhañg us ke baat karne

diyā hai jis ne bhī chup sharāp lafzoñ ko

use ḳhabar hai nahīñ lafz koī marne

hameñ ḳhabar hai hamāre safar ai 'manzūr'

kaheñge ham na hai rāstā sañvarne

hai iztirab har ek rang ko bikharne ka

ki aaftab nahin raat bhar Thaharne ka

mujassame ki tarah mausamon ko sahta hai

wo muntazir hai koi hadsa guzarne ka

laTakte sukhte ye naqsh yunhi roenge

guzar gaya hai jo mausam tha rang bharne ka

wo aaine se agar ho gaya hai be-parwa

jawaz kya hai use phir kisi se Darne ka

giregi kal bhi yahi dhup aur yahi shabnam

is aasman se nahin aur kuchh utarne ka

ab aag aag hai nile pahaD ka manzar

hamein tha shauq bahut us ke par utarne ka

agarche us ki har ek baat khurduri hai bahut

mujhe pasand hai Dhang us ke baat karne ka

diya hai jis ne bhi chup ka sharap lafzon ko

use KHabar hai nahin lafz koi marne ka

hamein KHabar hai hamare safar ki ai 'manzur'

kahenge hum hi na hai rasta sanwarne ka

Source :
  • Book : Natamam (Pg. 67)
  • Author : Hakeem Manzoor
  • Publication : Samt Publication 2/48 Rajendar Nagar New Delhi-110060 (1977)
  • Edition : 1977
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now