Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai us gul-rang ka diwar hona

Muneer Niyazi

hai us gul-rang ka diwar hona

Muneer Niyazi

hai us gul-rañg dīvār honā

ki jaise ḳhvāb se bedār honā

batātī hai mahak dast-e-hinā

kisī dar pas-e-dīvār honā

use rakhtā hai sahrāoñ meñ hairāñ

dil-e-shā.ir pur-asrār honā

kamāl-e-shauq hāsil yahī hai

hamārā shahr se be-zār honā

firāq āġhāz hai un sā.atoñ

hai āḳhir jin vasl-e-yār honā

yahī honā thā āḳhir dasht-e-ġham ko

hamāre haath se gulzār honā

mohabbat sabab hai be-niyāzī

kashish us hai bas dushvār honā

'munīr' achchhā nahīñ lagtā ye terā

kisī ke hijr meñ bīmār honā

hai us gul-rang ka diwar hona

ki jaise KHwab se bedar hona

batati hai mahak dast-e-hina ki

kisi dar ka pas-e-diwar hona

use rakhta hai sahraon mein hairan

dil-e-shair ka pur-asrar hona

kamal-e-shauq ka hasil yahi hai

hamara shahr se be-zar hona

firaq aaghaz hai un saaton ka

hai aaKHir jin ka wasl-e-yar hona

yahi hona tha aaKHir dasht-e-gham ko

hamare hath se gulzar hona

mohabbat ka sabab hai be-niyazi

kashish us ki hai bas dushwar hona

'munir' achchha nahin lagta ye tera

kisi ke hijr mein bimar hona

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now