Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum donon mein koi na apne qaul-o-qasam ka sachcha tha

Zubair Rizvi

hum donon mein koi na apne qaul-o-qasam ka sachcha tha

Zubair Rizvi

MORE BYZubair Rizvi

    ham donoñ meñ koī na apne qaul-o-qasam sachchā thā

    aapas meñ bas ek purānā TūTā-phūTā rishta thā

    dil dīvāroñ pe ham ne aaj bhī sīlan dekhī hai

    jaane kab āñkheñ roī thiiñ jaane kab bādal barsā thā

    ḳhvāb-nagar tak aate aate TuuT ga.e ham jaise log

    ūñchī nīchī raah bahut thī saarā rasta kachchā thā

    puurā bādal puurī bārish mausam puure zor pe thā

    sab ke saroñ pe chhat rakkhī thī maiñ akelā bhīgā thā

    apnī zaat ke saare ḳhufiya raste us par khol diye

    jaane kis aalam meñ us ne haal hamārā pūchhā thā

    us milnā dhūl-bhare mausam meñ būñdoñ jaisā thā

    sabza ban kar phuuT rahā hai jo bhī andar sūkhā thā

    us yaad ke saare mīThe phal totoñ ne katar liye

    yuuñ to ham ne chāroñ kone shor machā.e rakkhā thā

    hum donon mein koi na apne qaul-o-qasam ka sachcha tha

    aapas mein bas ek purana TuTa-phuTa rishta tha

    dil ki diwaron pe hum ne aaj bhi silan dekhi hai

    jaane kab aankhen roi thin jaane kab baadal barsa tha

    KHwab-nagar tak aate aate TuT gae hum jaise log

    unchi nichi rah bahut thi sara rasta kachcha tha

    pura baadal puri barish mausam pure zor pe tha

    sab ke saron pe chhat rakkhi thi main hi akela bhiga tha

    apni zat ke sare KHufiya raste us par khol diye

    jaane kis aalam mein us ne haal hamara puchha tha

    us ka milna dhul-bhare mausam mein bundon jaisa tha

    sabza ban kar phuT raha hai jo bhi andar sukha tha

    us ki yaad ke sare miThe phal toton ne katar liye

    yun to hum ne chaaron kone shor machae rakkha tha

    Source:

    Sang-ge-Sada (Pg. 295)

    • Author: Zubair Razvi
      • Edition: 2014
      • Publisher: Zehne Jadid, New Delhi
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now