Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum hi mein thi na koi baat yaad na tumko aa sake

Hafeez Jalandhari

hum hi mein thi na koi baat yaad na tumko aa sake

Hafeez Jalandhari

MORE BYHafeez Jalandhari

    ham meñ thī na koī baat yaad na tum ko aa sake

    tum ne hameñ bhulā diyā ham na tumheñ bhulā sake

    tum na sun sake agar qissa-e-ġham sunegā kaun

    kis zabāñ khulegī phir ham na agar sunā sake

    hosh meñ aa chuke the ham josh meñ aa chuke the ham

    bazm rañg dekh kar sar na magar uThā sake

    raunaq-e-bazm ban ga.e lab pe hikāyateñ rahīñ

    dil meñ shikāyateñ rahīñ lab na magar hilā sake

    shauq-e-visāl hai yahāñ lab pe savāl hai yahāñ

    kis majāl hai yahāñ ham se nazar milā sake

    aisā ho koī nāma-bar baat pe kaan dhar sake

    sun ke yaqīn kar sake ke unheñ sunā sake

    ijz se aur baḌh ga.ī barhamī-e-mizāj-e-dost

    ab vo kare ilāj-e-dost jis samajh meñ aa sake

    ahl-e-zabāñ to haiñ bahut koī nahīñ hai ahl-e-dil

    kaun tirī tarah 'hafīz' dard ke giit sake

    hum hi mein thi na koi baat yaad na tum ko aa sake

    tum ne hamein bhula diya hum na tumhein bhula sake

    tum hi na sun sake agar qissa-e-gham sunega kaun

    kis ki zaban khulegi phir hum na agar suna sake

    hosh mein aa chuke the hum josh mein aa chuke the hum

    bazm ka rang dekh kar sar na magar uTha sake

    raunaq-e-bazm ban gae lab pe hikayaten rahin

    dil mein shikayaten rahin lab na magar hila sake

    shauq-e-visal hai yahan lab pe sawal hai yahan

    kis ki majal hai yahan hum se nazar mila sake

    aisa ho koi nama-bar baat pe kan dhar sake

    sun ke yaqin kar sake ja ke unhen suna sake

    ijz se aur baDh gai barhami-e-mizaj-e-dost

    ab wo kare ilaj-e-dost jis ki samajh mein aa sake

    ahl-e-zaban to hain bahut koi nahin hai ahl-e-dil

    kaun teri tarah 'hafiz' dard ke git ga sake

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Hafeez Jalandhari

    Hafeez Jalandhari

    Mehdi Hasan

    Mehdi Hasan

    Amjad Parvez

    Amjad Parvez

    Mehdi Hasan

    Mehdi Hasan

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now