hum kab az-KHud tere ghar yar chale aate hain
hum kab az-KHud tere ghar yar chale aate hain
Jurat Qalandar Bakhsh
MORE BYJurat Qalandar Bakhsh
ham kab az-ḳhud tire ghar yaar chale aate haiñ
rah nahīñ sakte to nā-chār chale aate haiñ
le ḳhabar us kī shitābī se ki āshiq ko tire
ġhash pe ġhash shoḳh sitamgār chale aate haiñ
maiñ to hairāñ huuñ matab hai ki dar-e-yār hai ye
yaañ to bīmār pe bīmār chale aate haiñ
ghar meñ ghabrāte haiñ be-yār to ham vahshī se
sar-barahna sar-e-bāzār chale aate haiñ
khaḌe rah sakte nahīñ dar pe to hairān se vaañ
baiTh kar ham pas-e-dīvār chale aate haiñ
kis ke nāloñ kī ye āñdhī hai ki shakl-e-par-e-kāh
aaj uḌte hue kohsār chale aate haiñ
hum kab az-KHud tere ghar yar chale aate hain
rah nahin sakte to na-chaar chale aate hain
le KHabar us ki shitabi se ki aashiq ko tere
ghash pe ghash shoKH sitamgar chale aate hain
main to hairan hun matab hai ki dar-e-yar hai ye
yan to bimar pe bimar chale aate hain
ghar mein ghabraate hain be-yar to hum wahshi se
sar-barahna sar-e-bazar chale aate hain
khaDe rah sakte nahin dar pe to hairan se wan
baiTh kar hum pas-e-diwar chale aate hain
kis ke nalon ki ye aandhi hai ki shakl-e-par-e-kah
aaj uDte hue kohsar chale aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.