Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ham-safar tu ne paron ko jo mere kaTa hai

Waseem Malik

ham-safar tu ne paron ko jo mere kaTa hai

Waseem Malik

MORE BYWaseem Malik

    ham-safar ne paroñ ko jo mire kaaTā hai

    tere kirdār ye sab se baḌā ghāTā hai

    aa.iye aap ko dastār-e-fazīlat jaa.e

    aap ne apne logoñ galā kaaTā hai

    koī dastak koī aahaT na sadā hai koī

    duur tak ruuh meñ phailā huā sannāTā hai

    lutf ye hai ki usī shaḳhs ke mamnūn haiñ ham

    jis talvār ne qistoñ meñ hameñ kaaTā hai

    ham pe ġhalbe yahī ek to sūrat thī 'vasīm'

    buz-diloñ ne yuuñ ḳhānoñ meñ nahīñ bāñTā hai

    ham-safar tu ne paron ko jo mere kaTa hai

    tere kirdar ka ye sab se baDa ghaTa hai

    aaiye aap ko dastar-e-fazilat di jae

    aap ne apne hi logon ka gala kaTa hai

    koi dastak koi aahaT na sada hai koi

    dur tak ruh mein phaila hua sannaTa hai

    lutf ye hai ki usi shaKHs ke mamnun hain hum

    jis ki talwar ne qiston mein hamein kaTa hai

    hum pe ghalbe ki yahi ek to surat thi 'wasim'

    buz-dilon ne yun hi KHanon mein nahin banTa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now