ham to kitnoƱ ko mah-jabīƱ kahte
aap haiƱ is liye nahīƱ kahte
chÄƱd hotÄ na ÄsmÄƱ pe agar
ham kise aap sÄ hasīƱ kahte
aap ke paaƱv phir kahÄƱ paįøte
ham zamīƱ ko agar zamīƱ kahte
aap ne auroƱ se kahÄ sab kuchh
ham se bhī kuchh kabhī kahīƱ kahte
aap ke ba.ad aap hī kahiye
vaqt ko kaise ham-nashīƱ kahte
vo bhÄ« vÄhid hai maiƱ bhÄ« vÄhid huuƱ
kis sabab se ham ÄfrīƱ kahte
hum to kitnon ko mah-jabin kahte
aap hain is liye nahin kahte
chand hota na aasman pe agar
hum kise aap sa hasin kahte
aap ke panw phir kahan paDte
hum zamin ko agar zamin kahte
aap ne auron se kaha sab kuchh
hum se bhi kuchh kabhi kahin kahte
aap ke baad aap hi kahiye
waqt ko kaise ham-nashin kahte
wo bhi wahid hai main bhi wahid hun
kis sabab se hum aafrin kahte
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 171)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.