hamare KHwab sab tabir se bahar nikal aae
hamāre ḳhvāb sab ta.abīr se bāhar nikal aa.e
vo apne-āp kal tasvīr se bāhar nikal aa.e
ye ahl-e-hosh to ghar se kabhī bāhar nahīñ nikle
magar dīvāne har zanjīr se bāhar nikal aa.e
koī āvāz de kar dekh le muḌ kar na dekheñge
mohabbat tere ik ik tiir se bāhar nikal aa.e
dar-o-dīvār bhī ghar ke bahut māyūs the ham se
so ham bhī raat is jāgīr se bāhar nikal aa.e
baḌī mushkil zamīnoñ meñ gulābī rañg bharnā thā
bahut jaldī bayāz-e-'mīr' se bāhar nikal aa.e
hamare KHwab sab tabir se bahar nikal aae
wo apne-ap kal taswir se bahar nikal aae
ye ahl-e-hosh to ghar se kabhi bahar nahin nikle
magar diwane har zanjir se bahar nikal aae
koi aawaz de kar dekh le muD kar na dekhenge
mohabbat tere ek ek tir se bahar nikal aae
dar-o-diwar bhi ghar ke bahut mayus the hum se
so hum bhi raat is jagir se bahar nikal aae
baDi mushkil zaminon mein gulabi rang bharna tha
bahut jaldi bayaz-e-'mir' se bahar nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.