Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamari ham-nafasi ko bhi kya dawam hua

Ahmad Javaid

hamari ham-nafasi ko bhi kya dawam hua

Ahmad Javaid

hamārī ham-nafasī ko bhī kyā davām huā

vo abr-e-surḳh to maiñ naḳhl-e-intiqām huā

yahīñ se mere adū ḳhamīr uTThā thā

zamīn dekh ke maiñ teġh-e-be-niyām huā

ḳhabar nahīñ hai mire bādshāh ko shāyad

hazār martaba āzād ye ġhulām huā

ajab safar thā ajab-tar musāfirat merī

zamīñ shurū huī aur maiñ tamām huā

vo kāhilī hai ki dil taraf se ġhāfil haiñ

ḳhud apne ghar bhī ham se na intizām huā

huī hai ḳhatm dar-o-bām kam-asbābī

mayassar aaj vo sāmān-e-inhidām huā

hamari ham-nafasi ko bhi kya dawam hua

wo abr-e-surKH to main naKHl-e-intiqam hua

yahin se mere adu ka KHamir uTTha tha

zamin dekh ke main tegh-e-be-niyam hua

KHabar nahin hai mere baadshah ko shayad

hazar martaba aazad ye ghulam hua

ajab safar tha ajab-tar musafirat meri

zamin shuru hui aur main tamam hua

wo kahili hai ki dil ki taraf se ghafil hain

KHud apne ghar ka bhi hum se na intizam hua

hui hai KHatm dar-o-baam ki kam-asbabi

mayassar aaj wo saman-e-inhidam hua

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

hamari ham-nafasi ko bhi kya dawam hua Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now