hamesha dil hawas-e-intiqam par rakkha
hamesha dil havas-e-intiqām par rakkhā
ḳhud apnā naam bhī dushman ke naam par rakkhā
vo bādshāh-e-firāq-o-visāl hai us ne
jo baar sab pa girāñ thā ġhulām par rakkhā
kiye haiñ sab ko atā us ne ohda o mansab
mujhe bhī sīna-ḳharāshī ke kaam par rakkhā
koī savār uThā hai pas-e-ġhubār-e-fanaā
qazā ne haath kulāh o niyām par rakkhā
kisī ne be-sar-o-pā.ī ke bāvajūd mujhe
zamīn-e-sajda o arz-e-qayām par rakkhā
hamesha dil hawas-e-intiqam par rakkha
KHud apna nam bhi dushman ke nam par rakkha
wo baadshah-e-firaq-o-visal hai us ne
jo bar sab pa giran tha ghulam par rakkha
kiye hain sab ko ata us ne ohda o mansab
mujhe bhi sina-KHarashi ke kaam par rakkha
koi sawar uTha hai pas-e-ghubar-e-fanaa
qaza ne hath kulah o niyam par rakkha
kisi ne be-sar-o-pai ke bawajud mujhe
zamin-e-sajda o arz-e-qayam par rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.