Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek hath mein patthar dikhai deta hai

Ameer Qazalbash

har ek hath mein patthar dikhai deta hai

Ameer Qazalbash

har ek haath meñ patthar dikhā.ī detā hai

ye zaḳhm ghar se nikal kar dikhā.ī detā hai

sunā hai ab bhī mire haath lakīroñ meñ

najūmiyoñ ko muqaddar dikhā.ī detā hai

ab inkisār bhī shāmil hai vaz.a meñ us

use bhī ab koī ham-sar dikhā.ī detā hai

girā na mujh ko mire ḳhvāb bulandī se

yahāñ se mujh ko mirā ghar dikhā.ī detā hai

jahāñ jahāñ bhī hai nahr-e-furāt imkāñ

vahīñ yazīd lashkar dikhā.ī detā hai

ḳhudā ke shahr meñ phir koī sañgsār huā

jise bhī dekhiye patthar dikhā.ī detā hai

'amīr' kis ko batāoge kaun mānegā

sarāb hai jo samundar dikhā.ī detā hai

har ek hath mein patthar dikhai deta hai

ye zaKHm ghar se nikal kar dikhai deta hai

suna hai ab bhi mere hath ki lakiron mein

najumiyon ko muqaddar dikhai deta hai

ab inkisar bhi shamil hai waza mein us ki

use bhi ab koi ham-sar dikhai deta hai

gira na mujh ko mere KHwab ki bulandi se

yahan se mujh ko mera ghar dikhai deta hai

jahan jahan bhi hai nahr-e-furaat ka imkan

wahin yazid ka lashkar dikhai deta hai

KHuda ke shahr mein phir koi sangsar hua

jise bhi dekhiye patthar dikhai deta hai

'amir' kis ko bataoge kaun manega

sarab hai jo samundar dikhai deta hai

RECITATIONS

Khalid Mubashshir

Khalid Mubashshir,

00:00/00:00
Khalid Mubashshir

har ek hath mein patthar dikhai deta hai Khalid Mubashshir

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now