Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek ruh mein ek gham chhupa lage hai mujhe

Jan Nisar Akhtar

har ek ruh mein ek gham chhupa lage hai mujhe

Jan Nisar Akhtar

MORE BYJan Nisar Akhtar

    har ek ruuh meñ ik ġham chhupā lage hai mujhe

    ye zindagī to koī bad-duā lage hai mujhe

    pasand-e-ḳhātir-e-ahl-e-vafā hai muddat se

    ye dil daaġh jo ḳhud bhī bhalā lage hai mujhe

    jo āñsuoñ meñ kabhī raat bhiig jaatī hai

    bahut qarīb vo āvāz-e-pā lage hai mujhe

    maiñ so bhī jā.ūñ to kyā merī band āñkhoñ meñ

    tamām raat koī jhāñktā lage hai mujhe

    maiñ jab bhī us ke ḳhayāloñ meñ kho jaatā huuñ

    vo ḳhud bhī baat kare to burā lage hai mujhe

    maiñ sochtā thā ki lauTūñgā ajnabī tarah

    ye merā gaañv to pahchāntā lage hai mujhe

    na jaane vaqt raftār kyā dikhātī hai

    kabhī kabhī to baḌā ḳhauf lage hai mujhe

    bikhar gayā hai kuchh is tarah aadmī vajūd

    har ek fard koī sāneha lage hai mujhe

    ab ek aadh qadam hisāb kyā rakhiye

    abhī talak to vahī fāsla lage hai mujhe

    hikāyat-e-ġham-e-dil kuchh kashish to rakhtī hai

    zamāna ġhaur se suntā huā lage hai mujhe

    har ek ruh mein ek gham chhupa lage hai mujhe

    ye zindagi to koi bad-dua lage hai mujhe

    pasand-e-KHatir-e-ahl-e-wafa hai muddat se

    ye dil ka dagh jo KHud bhi bhala lage hai mujhe

    jo aansuon mein kabhi raat bhig jati hai

    bahut qarib wo aawaz-e-pa lage hai mujhe

    main so bhi jaun to kya meri band aankhon mein

    tamam raat koi jhankta lage hai mujhe

    main jab bhi us ke KHayalon mein kho sa jata hun

    wo KHud bhi baat kare to bura lage hai mujhe

    main sochta tha ki lauTunga ajnabi ki tarah

    ye mera ganw to pahchanta lage hai mujhe

    na jaane waqt ki raftar kya dikhati hai

    kabhi kabhi to baDa KHauf sa lage hai mujhe

    bikhar gaya hai kuchh is tarah aadmi ka wajud

    har ek fard koi saneha lage hai mujhe

    ab ek aadh qadam ka hisab kya rakhiye

    abhi talak to wahi fasla lage hai mujhe

    hikayat-e-gham-e-dil kuchh kashish to rakhti hai

    zamana ghaur se sunta hua lage hai mujhe

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    har ek ruh mein ek gham chhupa lage hai mujhe Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now