Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ghaDi inqalab mein guzri

Fani Badayuni

har ghaDi inqalab mein guzri

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    har ghaḌī inqalāb meñ guzrī

    zindagī kis azaab meñ guzrī

    shauq thā mānā-e-tajalli-e-dost

    un shoḳhī hijāb meñ guzrī

    karam-e-be-hisāb chāhā thā

    sitam-e-be-hisāb meñ guzrī

    varna dushvār thā sukūn-e-hayāt

    ḳhair se iztirāb meñ guzrī

    rāz-e-hastī justujū meñ rahe

    raat tābīr-e-ḳhvāb meñ guzrī

    kuchh kaTī himmat-e-savāl meñ umr

    kuchh umīd-e-javāb meñ guzrī

    kis ḳharābī se zindagī 'fānī'

    is jahān-e-ḳharāb meñ guzrī

    har ghaDi inqalab mein guzri

    zindagi kis azab mein guzri

    shauq tha mana-e-tajalli-e-dost

    un ki shoKHi hijab mein guzri

    karam-e-be-hisab chaha tha

    sitam-e-be-hisab mein guzri

    warna dushwar tha sukun-e-hayat

    KHair se iztirab mein guzri

    raaz-e-hasti ki justuju mein rahe

    raat tabir-e-KHwab mein guzri

    kuchh kaTi himmat-e-sawal mein umr

    kuchh umid-e-jawab mein guzri

    kis KHarabi se zindagi 'fani'

    is jahan-e-KHarab mein guzri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now