Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harf-e-kun shah-e-rag-e-hu mein gum hai

Shahid Kamal

harf-e-kun shah-e-rag-e-hu mein gum hai

Shahid Kamal

MORE BYShahid Kamal

    harf-e-kun shah-e-rag-e-hū meñ gum hai

    ik jahāñ zauq-e-numū meñ gum hai

    apne husn akkās hai husn

    aa.ina ā.ina-rū meñ gum hai

    kaif-āmez hai kaifiyyat-e-hāl

    nashsha-e-mai ki subū meñ gum hai

    dard chīḳh uThtā hai siine meñ koī

    zaḳhm jaise ki lahū meñ gum hai

    tiir mat dekh mire zaḳhm ko dekh

    yār-e-yār apnā adū meñ gum hai

    khol mat band-e-qabā rahne de

    chāk-e-dāmān rafū meñ gum hai

    nāfa-e-āhū-e-tātār hai ishq

    bū-e-gul apnī meñ gum hai

    ḳhaak uḌtī hai sar-e-sāhil jo

    tishnagī nahr-e-gulū meñ gum hai

    ye bhī kyā ḳhud hai ki ḳhud meñ bhī nahīñ

    ye bhī kyā maiñ hai ki meñ gum hai

    mast huuñ apnī anā meñ maiñ bhī

    aur vo apnī ḳhū meñ gum he

    harf-e-kun shah-e-rag-e-hu mein gum hai

    ek jahan zauq-e-numu mein gum hai

    apne hi husn ka akkas hai husn

    aaina aaina-ru mein gum hai

    kaif-amez hai kaifiyyat-e-haal

    nashsha-e-mai ki subu mein gum hai

    dard chiKH uThta hai sine mein koi

    zaKHm jaise ki lahu mein gum hai

    tir mat dekh mere zaKHm ko dekh

    yar-e-yar apna adu mein gum hai

    khol mat band-e-qaba rahne de

    chaak-e-daman rafu mein gum hai

    nafa-e-ahu-e-tatar hai ishq

    bu-e-gul apni hi bu mein gum hai

    KHak uDti hai sar-e-sahil jo

    tishnagi nahr-e-gulu mein gum hai

    ye bhi kya KHud hai ki KHud mein bhi nahin

    ye bhi kya main hai ki tu mein gum hai

    mast hun apni ana mein main bhi

    aur wo apni hi KHu mein gum he

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now