hari sunahri KHak uDane wala main
harī sunahrī ḳhaak uḌāne vaalā maiñ
shafaq shajar tasvīr banāne vaalā maiñ
ḳhalā ke saare rañg sameTne vaalī shaam
shab kī mizha par ḳhvāb sajāne vaalā maiñ
fazā kā pahlā phuul khilāne vaalī sub.h
havā ke sur meñ giit milāne vaalā maiñ
bāhar bhītar fasl ugāne vaalā tū
tire ḳhazāne sadā luTāne vaalā maiñ
chhatoñ pe bārish duur pahāḌī halkī dhuup
bhīgne vaalā pañkh sukhāne vaalā maiñ
chaar dishā.eñ jab aapas meñ ghul mil jaa.eñ
sannāTe ko duā banāne vaalā maiñ
ghane banoñ meñ shañkh bajāne vaalā tū
tirī taraf ghar chhoḌ ke aane vaalā maiñ
hari sunahri KHak uDane wala main
shafaq shajar taswir banane wala main
KHala ke sare rang sameTne wali sham
shab ki mizha par KHwab sajaane wala main
faza ka pahla phul khilane wali subh
hawa ke sur mein git milane wala main
bahar bhitar fasl ugane wala tu
tere KHazane sada luTane wala main
chhaton pe barish dur pahaDi halki dhup
bhigne wala pankh sukhane wala main
chaar dishaen jab aapas mein ghul mil jaen
sannaTe ko dua banane wala main
ghane banon mein shankh bajaane wala tu
teri taraf ghar chhoD ke aane wala main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.