Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane wale mujhe kuchh apni nishani de ja

Midhat-ul-Akhtar

jaane wale mujhe kuchh apni nishani de ja

Midhat-ul-Akhtar

MORE BYMidhat-ul-Akhtar

    jaane vaale mujhe kuchh apnī nishānī de

    ruuh pyāsī na rahe aañkh meñ paanī de

    vaqt ke saath ḳhad-o-ḳhāl badal jaate haiñ

    jo na badle vahī tasvīr purānī de

    tire māthe pe mirā naam chamaktā thā kabhī

    un dinoñ koī pahchān purānī de

    jis āġhosh meñ kaT jaa.eñ hazāroñ rāteñ

    merī tanhā.ī ko chhū kar vo kahānī de

    rakh na mahrūm ḳhud apnī rifāqat se mujhe

    aa.ina mujh ko dikhā de mirā saanī de

    jaane wale mujhe kuchh apni nishani de ja

    ruh pyasi na rahe aankh mein pani de ja

    waqt ke sath KHad-o-KHal badal jate hain

    jo na badle wahi taswir purani de ja

    tere mathe pe mera nam chamakta tha kabhi

    un dinon ki koi pahchan purani de ja

    jis ki aaghosh mein kaT jaen hazaron raaten

    meri tanhai ko chhu kar wo kahani de ja

    rakh na mahrum KHud apni hi rifaqat se mujhe

    aaina mujh ko dikha de mera sani de ja

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now