hawa ke war pe ab war karne wala hai
havā ke vaar pe ab vaar karne vaalā hai
charāġh bujhne se inkār karne vaalā hai
ḳhudā kare ki tirā azm barqarār rahe
zamāna raah meñ dīvār karne vaalā hai
vahī dikhā.egā tujh ko tamām daaġh tire
jise tū ā.ina-bardār karne vaalā hai
ye vaar to kabhī ḳhālī nahīñ gayā merā
koī to us ko ḳhabar-dār karne vaalā hai
usī ne rañg bhare haiñ tamām phūloñ meñ
vahī shajar ko samar-dār karne vaalā hai
zamīn bech ke ḳhush ho rahe ho tum jis ko
vo saare gaañv ko bāzār karne vaalā hai
hawa ke war pe ab war karne wala hai
charagh bujhne se inkar karne wala hai
KHuda kare ki tera azm barqarar rahe
zamana rah mein diwar karne wala hai
wahi dikhaega tujh ko tamam dagh tere
jise tu aaina-bardar karne wala hai
ye war to kabhi KHali nahin gaya mera
koi to us ko KHabar-dar karne wala hai
usi ne rang bhare hain tamam phulon mein
wahi shajar ko samar-dar karne wala hai
zamin bech ke KHush ho rahe ho tum jis ko
wo sare ganw ko bazar karne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.