Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hazaron aarzuen sath hain is par akeli hai

Shad Azimabadi

hazaron aarzuen sath hain is par akeli hai

Shad Azimabadi

hazāroñ ārzūeñ saath haiñ is par akelī hai

hamārī ruuh be-būjhī huī ab tak pahelī hai

buḌhāpā ho to ho us rabt meñ kyuuñ kar ḳhalal aa.e

mirī yās-o-tamanna bachpane se saath khelī hai

ajal bhī Tal ga.ī dekhī ga.ī hālat na āñkhoñ se

shab-e-ġham meñ musībat musībat ham ne jhelī hai

adam thā safar jab aur kuchh tosha na haath aayā

bahut aarzū chalte chalāte saath le hai

zarā dekho to un utre hue chehroñ ko phūloñ ke

ma.āz-allāh jhoñkā hai ḳhizāñ ki selī hai

kabhī jamne na detī be-ḳhudī ḳhātir pe naqsh un

ba-mushkil maiñ ne ye tasvīr usī ayyār se hai

hamārī aur guloñ ek hai nashv-o-numā lekin

vahāñ muTThī meñ zar hai aur yahāñ ḳhālī hathelī hai

na pūchho 'shād' vīrānī ko dil kyā batā.ūñ maiñ

tamannā chukī hasrat ġharīb is meñ akelī hai

hazaron aarzuen sath hain is par akeli hai

hamari ruh be-bujhi hui ab tak paheli hai

buDhapa ho to ho us rabt mein kyun kar KHalal aae

meri yas-o-tamanna bachpane se sath kheli hai

ajal bhi Tal gai dekhi gai haalat na aankhon se

shab-e-gham mein musibat si musibat hum ne jheli hai

adam ka tha safar jab aur kuchh tosha na hath aaya

bahut si aarzu chalte chalate sath le li hai

zara dekho to un utre hue chehron ko phulon ke

maaz-allah jhonka hai KHizan ka ya ki seli hai

kabhi jamne na deti be-KHudi KHatir pe naqsh un ka

ba-mushkil main ne ye taswir usi ayyar se li hai

hamari aur gulon ki ek hai nashw-o-numa lekin

wahan muTThi mein zar hai aur yahan KHali hatheli hai

na puchho 'shad' virani ko dil ki kya bataun main

tamanna ja chuki hasrat gharib is mein akeli hai

Source :
  • Book : Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 316)
  • Author : Shad Azimabadi
  • Publication : Educational Publishing House (2005)
  • Edition : 2005
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now