Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hazaron siten aisi ki har site pe dam nikle

Shahid Jameel

hazaron siten aisi ki har site pe dam nikle

Shahid Jameel

MORE BYShahid Jameel

    hazāroñ siteñ aisī ki har site pe dam nikle

    na pūchho kis tarah phir cyber cafe se ham nikle

    sab 'āshiq thak ga.e upload kar ke apnī site par

    visāl-e-yār cd meñ sau sau pech-o-ḳham nikle

    vahāñ ab har taraf computeroñ ke chūhe phirte haiñ

    mire likhne ke kamre se sabhī kāġhaz qalam nikle

    'adū password uf kis balā pairahan niklā

    ġhazab jalva-ārā.ī meñ shīshe ke sanam nikle

    hameñ site-navardī ko to gōgle jām-e-jam Thahrā

    jahāñ-bīnī ko ab kyūñkar ye kamre se qadam nikle

    qayāmat-ḳhez chatting meñ halākat-ḳhez hacking thī

    so apnī pass-bōk meñ Dher se ā'dād kam nikle

    blogging qasam bad-qismatī kyā virus niklī

    ḳhushī downloading alam ke zer-o-bam nikle

    raqīb-o-yār tuning kahāñ chal kar kahāñ pahuñchī

    barāmad junk mailoñ meñ murakkab pech-o-ḳham nikle

    ḳhushā ai vādī-e-surfing ba-chashm-e-'shāhid'-e-hairāñ

    hamāre bi-focal meñ ġhazab ke zer-o-bam nikle

    hazaron siten aisi ki har site pe dam nikle

    na puchho kis tarah phir cyber cafe se hum nikle

    sab 'ashiq thak gae upload kar ke apni site par

    visal-e-yar ki cd mein sau sau pech-o-KHam nikle

    wahan ab har taraf computeron ke chuhe phirte hain

    mere likhne ke kamre se sabhi kaghaz qalam nikle

    'adu ka password uf kis bala ka pairahan nikla

    ghazab ki jalwa-arai mein shishe ke sanam nikle

    hamein site-nawardi ko to google jam-e-jam Thahra

    jahan-bini ko ab kyunkar ye kamre se qadam nikle

    qayamat-KHez chatting mein halakat-KHez hacking thi

    so apni pass-book mein Dher se aa'dad kam nikle

    blogging ki qasam bad-qismati kya wirus nikli

    KHushi ki downloading ki alam ke zer-o-bam nikle

    raqib-o-yar ki tuning kahan chal kar kahan pahunchi

    baramad junk mailon mein murakkab pech-o-KHam nikle

    KHusha ai wadi-e-surfing ba-chashm-e-'shahid'-e-hairan

    hamare bi-focal mein ghazab ke zer-o-bam nikle

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now