Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr mein ho gaya visal ka kya

Muztar Khairabadi

hijr mein ho gaya visal ka kya

Muztar Khairabadi

MORE BYMuztar Khairabadi

    hijr meñ ho gayā visāl kyā

    ḳhvāb ban gayā ḳhayāl kyā

    ḳhud-numā.ī pe ḳhaak Daalo tum

    dekhnā shakl-e-be-misāl kyā

    terī furqat ke din ḳhudā kaaTe

    ho rahegā kabhī visāl kyā

    dil ke dene meñ uzr kis ko hai

    jaan de rahe haiñ maal kyā

    haal us ne hamārā pūchhā hai

    pūchhnā ab hamāre haal kyā

    vasl iltijā pe bigḌe kyuuñ

    sun ke chup ho raho savāl kyā

    daur āshiqī gunāh nahīñ

    dekh lete haiñ dekh-bhāl kyā

    zulf ko kyuuñ jakaḌ ke bāñdhā hai

    us ne bosa liyā thā gaal kyā

    aaj tum kyuuñ malūl baiThe ho

    vasl din hai mire visāl kyā

    jab kahā tum se roz miltā huuñ

    hañs ke kahne lage ḳhayāl kyā

    qaul ke vaqt shart-e-fursat kyuuñ

    daḳhl va.ade meñ ehtimāl kyā

    rañj de kar jo ḳhush ho ai 'muztar'

    us ko sadma mire malāl kyā

    hijr mein ho gaya visal ka kya

    KHwab hi ban gaya KHayal ka kya

    KHud-numai pe KHak Dalo tum

    dekhna shakl-e-be-misal ka kya

    teri furqat ke din KHuda kaTe

    ho rahega kabhi visal ka kya

    dil ke dene mein uzr kis ko hai

    jaan hi de rahe hain mal ka kya

    haal us ne hamara puchha hai

    puchhna ab hamare haal ka kya

    wasl ki iltija pe bigDe kyun

    sun ke chup ho raho sawal ka kya

    daur ki aashiqi gunah nahin

    dekh lete hain dekh-bhaal ka kya

    zulf ko kyun jakaD ke bandha hai

    us ne bosa liya tha gal ka kya

    aaj tum kyun malul baiThe ho

    wasl din hai mere visal ka kya

    jab kaha tum se roz milta hun

    hans ke kahne lage KHayal ka kya

    qaul ke waqt shart-e-fursat kyun

    daKHl wade mein ehtimal ka kya

    ranj de kar jo KHush ho ai 'muztar'

    us ko sadma mere malal ka kya

    Source :
    • Book : Khirman (Part-1) (Pg. 121)
    • Author : Muztar Khairabadi
    • Publication : Javed Akhtar (2015)
    • Edition : 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now