hosh kho kar josh mein kuchh is tarah main bah gaya
hosh kho kar josh mein kuchh is tarah main bah gaya
Mohammad Ali Sahil
MORE BYMohammad Ali Sahil
hosh kho kar josh meñ kuchh is tarah maiñ bah gayā
kyā mujhe kahnā thā us se aur kyā kyā kah gayā
us kī jānib dekh kar āḳhir ye mujh ko kyā huā
ek sach hoñToñ pe mere aate aate rah gayā
jo asāsa zindagī kā us ne joḌā umr bhar
maut kā sailāb jab aayā to sab kuchh bah gayā
zulm kī buniyād par us ne banāyā thā mahal
sabr kī bas ek hī Thokar se vo bhī Dhah gayā
tum ne to aañsū hī dekhe haiñ tumheñ mālūm kyā
dard kā dariyā mirī āñkhoñ se ho kar bah gayā
dostī qaa.em rahe har haal meñ ye soch kar
dostoñ ne jo diye vo zaḳhm hañs kar sah gayā
zindagī ne har qadam par ne.amateñ taqsīm kiiñ
aur 'sāhil' umr ke zer-o-zabar meñ rah gayā
hosh kho kar josh mein kuchh is tarah main bah gaya
kya mujhe kahna tha us se aur kya kya kah gaya
us ki jaanib dekh kar aaKHir ye mujh ko kya hua
ek sach honTon pe mere aate aate rah gaya
jo asasa zindagi ka us ne joDa umr bhar
maut ka sailab jab aaya to sab kuchh bah gaya
zulm ki buniyaad par us ne banaya tha mahal
sabr ki bas ek hi Thokar se wo bhi Dhah gaya
tum ne to aansu hi dekhe hain tumhein malum kya
dard ka dariya meri aankhon se ho kar bah gaya
dosti qaem rahe har haal mein ye soch kar
doston ne jo diye wo zaKHm hans kar sah gaya
zindagi ne har qadam par neamaten taqsim kin
aur 'sahil' umr ke zer-o-zabar mein rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.