Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hote KHuda ke us but-e-kafir ki chah ki

Lala Madhav Ram Jauhar

hote KHuda ke us but-e-kafir ki chah ki

Lala Madhav Ram Jauhar

MORE BYLala Madhav Ram Jauhar

    hote ḳhudā ke us but-e-kāfir chaah

    itnī to baat mujh se huī hai gunāh

    soz-e-darūñ kiyā jo mirā sham.a ne bayāñ

    jal kar zabān kaaT mere gavāh

    bhartā hai aaj ḳhuub tarāre samand-e-nāz

    qumchī hai un ke haath meñ zulf-e-siyāh

    dekhā huzūr ko jo mukaddar to mar ga.e

    ham miT ga.e jo aap ne mailī nigāh

    furqat meñ yaad aa.e jo lutf-e-shab-e-visāl

    ik aah bhar ke jānib-e-gardūñ nigāh

    sunsān kar diyā mire pahlū ko le ke dil

    zālim ne luuT kar mirī bastī tabāh

    vo mujh se kah rahe haiñ ishāroñ meñ dekhnā

    sab taaḌ jā.eñge sar-e-mahfil jo aah

    ham vo the dil dil meñ kiyā zabt-e-rāz-e-ishq

    sadme uThā ke mar ga.e muñh se na aah

    afsos hai ki maiñ to phirūñ dar-ba-dar ḳharāb

    tum ko ḳhabar na ho mire hāl-e-tabāh

    'jauhar' ḳhudā ke fazl se aisī ġhazal kahī

    shohrat mushā.ire meñ huī vāh-vāh

    hote KHuda ke us but-e-kafir ki chah ki

    itni to baat mujh se hui hai gunah ki

    soz-e-darun kiya jo mera shama ne bayan

    jal kar zaban kaT li mere gawah ki

    bharta hai aaj KHub tarare samand-e-naz

    qumchi hai un ke hath mein zulf-e-siyah ki

    dekha huzur ko jo mukaddar to mar gae

    hum miT gae jo aap ne maili nigah ki

    furqat mein yaad aae jo lutf-e-shab-e-visal

    ek aah bhar ke jaanib-e-gardun nigah ki

    sunsan kar diya mere pahlu ko le ke dil

    zalim ne luT kar meri basti tabah ki

    wo mujh se kah rahe hain ishaaron mein dekhna

    sab taD jaenge sar-e-mahfil jo aah ki

    hum wo the dil hi dil mein kiya zabt-e-raaz-e-ishq

    sadme uTha ke mar gae munh se na aah ki

    afsos hai ki main to phirun dar-ba-dar KHarab

    tum ko KHabar na ho mere haal-e-tabah ki

    'jauhar' KHuda ke fazl se aisi ghazal kahi

    shohrat mushaire mein hui wah-wah ki

    Source :
    • Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 51)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now