Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn kab ishq ka mamnun-e-wafa hota hai

Qamar Jalalvi

husn kab ishq ka mamnun-e-wafa hota hai

Qamar Jalalvi

MORE BYQamar Jalalvi

    husn kab ishq mamnūn-e-vafā hotā hai

    laakh parvāna mare sham.a pe kyā hotā hai

    shaġhl-e-sayyād yahī sub.h o masā hotā hai

    qaid hotā hai koī koī rihā hotā hai

    jab patā chaltā hai ḳhushbū vafādārī

    phuul jis vaqt gulistāñ se judā hotā hai

    zabt kartā huuñ to ghuTtā hai qafas meñ mirā dam

    aah kartā huuñ to sayyād ḳhafā hotā hai

    ḳhuun hotā hai sahar tak mire armānoñ

    shām-e-vāda jo vo pāband-e-hinā hotā hai

    chāndnī dekh ke yaad aate haiñ kyā kyā vo mujhe

    chāñd jab shab ko 'qamar' jalva-numā hotā hai

    husn kab ishq ka mamnun-e-wafa hota hai

    lakh parwana mare shama pe kya hota hai

    shaghl-e-sayyaad yahi subh o masa hota hai

    qaid hota hai koi koi riha hota hai

    jab pata chalta hai KHushbu ki wafadari ka

    phul jis waqt gulistan se juda hota hai

    zabt karta hun to ghuTta hai qafas mein mera dam

    aah karta hun to sayyaad KHafa hota hai

    KHun hota hai sahar tak mere armanon ka

    sham-e-wada jo wo paband-e-hina hota hai

    chandni dekh ke yaad aate hain kya kya wo mujhe

    chand jab shab ko 'qamar' jalwa-numa hota hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    husn kab ishq ka mamnun-e-wafa hota hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now