Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere chehre ki tarah aur mere sine ki tarah

Mustafa Zaidi

tere chehre ki tarah aur mere sine ki tarah

Mustafa Zaidi

MORE BYMustafa Zaidi

    tere chehre tarah aur mire siine tarah

    merā har sher damaktā hai nagīne tarah

    phuul jaage haiñ kahīñ tere badan mānind

    os mahkī hai kahīñ tere pasīne tarah

    ai mujhe chhoḌ ke tūfān meñ jaane vaalī

    dost hotā hai talātum meñ safīne tarah

    ai mire ġham ko zamāne se batāne vaalī

    maiñ tirā raaz chhupātā huuñ dafīne tarah

    terā va.ada thā ki is maah zarūr aa.egī

    ab to har roz guzartā hai mahīne tarah

    tere chehre ki tarah aur mere sine ki tarah

    mera har sher damakta hai nagine ki tarah

    phul jage hain kahin tere badan ki manind

    os mahki hai kahin tere pasine ki tarah

    ai mujhe chhoD ke tufan mein jaane wali

    dost hota hai talatum mein safine ki tarah

    ai mere gham ko zamane se batane wali

    main tera raaz chhupata hun dafine ki tarah

    tera wada tha ki is mah zarur aaegi

    ab to har roz guzarta hai mahine ki tarah

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Gireban) (Pg. 15)
    • Author : Mustafa Zaidi
    • Publication : Alhamd Publications (2011)
    • Edition : 2011

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now