ek din KHud ko apne pas biThaya humne
ik din ḳhud ko apne paas biThāyā ham ne
pahle yaar banāyā phir samjhāyā ham ne
ḳhud bhī āḳhir-kār unhī va.adoñ se bahle
jin se saarī duniyā ko bahlāyā ham ne
bhiiḌ ne yūñhī rahbar maan liyā hai varna
apne alāva kis ko ghar pahuñchāyā ham ne
maut ne saarī raat hamārī nabz TaTolī
aisā marne kā māhaul banāyā ham ne
ghar se nikle chauk ga.e phir park meñ baiThe
tanhā.ī ko jagah jagah bikhrāyā ham ne
in lamhoñ meñ kis ki shirkat kaisī shirkat
use bulā kar apnā kaam baḌhāyā ham ne
duniyā ke kachche rañgoñ kā ronā royā
phir duniyā par apnā rañg jamāyā ham ne
jab 'shāriq' pahchān ga.e manzil kī haqīqat
phir raste ko raste bhar uljhāyā ham ne
ek din KHud ko apne pas biThaya hum ne
pahle yar banaya phir samjhaya hum ne
KHud bhi aaKHir-kar unhi wadon se bahle
jin se sari duniya ko bahlaya hum ne
bhiD ne yunhi rahbar man liya hai warna
apne alawa kis ko ghar pahunchaya hum ne
maut ne sari raat hamari nabz TaToli
aisa marne ka mahaul banaya hum ne
ghar se nikle chauk gae phir park mein baiThe
tanhai ko jagah jagah bikhraya hum ne
in lamhon mein kis ki shirkat kaisi shirkat
use bula kar apna kaam baDhaya hum ne
duniya ke kachche rangon ka rona roya
phir duniya par apna rang jamaya hum ne
jab 'shaariq' pahchan gae manzil ki haqiqat
phir raste ko raste bhar uljhaya hum ne
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 81)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.