Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

Jigar Moradabadi

ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

Jigar Moradabadi

MORE BYJigar Moradabadi

    ik lafz-e-mohabbat adnā ye fasānā hai

    simTe to dil-e-āshiq phaile to zamānā hai

    ye kis tasavvur hai ye kis fasānā hai

    jo ashk hai āñkhoñ meñ tasbīh daanā hai

    dil sañg-e-malāmat har-chand nishānā hai

    dil phir bhī mirā dil hai dil to zamānā hai

    ham ishq ke māroñ itnā fasānā hai

    rone ko nahīñ koī hañsne ko zamānā hai

    vo aur vafā-dushman māneñge na maanā hai

    sab dil sharārat hai āñkhoñ bahānā hai

    shā.ir huuñ maiñ shā.ir huuñ merā zamānā hai

    fitrat mirā ā.īnā qudrat mirā shānā hai

    jo un pe guzartī hai kis ne use jaanā hai

    apnī musībat hai apnā fasānā hai

    kyā husn ne samjhā hai kyā ishq ne jaanā hai

    ham ḳhāk-nashīnoñ Thokar meñ zamānā hai

    āġhāz-e-mohabbat hai aanā hai na jaanā hai

    ashkoñ hukūmat hai aahoñ zamānā hai

    āñkhoñ meñ namī hai chup chup se vo baiThe haiñ

    nāzuk nigāhoñ meñ nāzuk fasānā hai

    ham dard-ba-dil nālāñ vo dast-ba-dil hairāñ

    ai ishq to kyā zālim terā zamānā hai

    vo the ḳhafā ham se ham haiñ ḳhafā un se

    kal un zamāna thā aaj apnā zamānā hai

    ai ishq-e-junūñ-pesha haañ ishq-e-junūñ-pesha

    aaj ek sitamgar ko hañs hañs ke rulānā hai

    thoḌī ijāzat bhī ai bazm-gah-e-hastī

    aa nikle haiñ dam-bhar ko ronā hai rulānā hai

    ye ishq nahīñ āsāñ itnā samajh liije

    ik aag dariyā hai aur Duub ke jaanā hai

    ḳhud husn-o-shabāb un kyā kam hai raqīb apnā

    jab dekhiye ab vo haiñ ā.īna hai shānā hai

    tasvīr ke do ruḳh haiñ jaañ aur ġham-e-jānāñ

    ik naqsh chhupānā hai ik naqsh dikhānā hai

    ye husn-o-jamāl un ye ishq-o-shabāb apnā

    jiine tamannā hai marne zamānā hai

    mujh ko isī dhun meñ hai har lahza basar karnā

    ab aa.e vo ab aa.e lāzim unheñ aanā hai

    ḳhuddārī-o-mahrūmī mahrūmī-o-ḳhuddārī

    ab dil ko ḳhudā rakkhe ab dil zamānā hai

    ashkoñ ke tabassum meñ aahoñ ke tarannum meñ

    ma.asūm mohabbat ma.asūm fasānā hai

    aañsū to bahut se haiñ āñkhoñ meñ 'jigar' lekin

    bañdh jaa.e so motī hai rah jaa.e so daanā hai

    ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

    simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

    ye kis ka tasawwur hai ye kis ka fasana hai

    jo ashk hai aankhon mein tasbih ka dana hai

    dil sang-e-malamat ka har-chand nishana hai

    dil phir bhi mera dil hai dil hi to zamana hai

    hum ishq ke maron ka itna hi fasana hai

    rone ko nahin koi hansne ko zamana hai

    wo aur wafa-dushman manenge na mana hai

    sab dil ki shararat hai aankhon ka bahana hai

    shair hun main shair hun mera hi zamana hai

    fitrat mera aaina qudrat mera shana hai

    jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai

    apni hi musibat hai apna hi fasana hai

    kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai

    hum KHak-nashinon ki Thokar mein zamana hai

    aaghaz-e-mohabbat hai aana hai na jaana hai

    ashkon ki hukumat hai aahon ka zamana hai

    aankhon mein nami si hai chup chup se wo baiThe hain

    nazuk si nigahon mein nazuk sa fasana hai

    hum dard-ba-dil nalan wo dast-ba-dil hairan

    ai ishq to kya zalim tera hi zamana hai

    ya wo the KHafa hum se ya hum hain KHafa un se

    kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai

    ai ishq-e-junun-pesha han ishq-e-junun-pesha

    aaj ek sitamgar ko hans hans ke rulana hai

    thoDi si ijazat bhi ai bazm-gah-e-hasti

    aa nikle hain dam-bhar ko rona hai rulana hai

    ye ishq nahin aasan itna hi samajh lije

    ek aag ka dariya hai aur Dub ke jaana hai

    KHud husn-o-shabab un ka kya kam hai raqib apna

    jab dekhiye ab wo hain aaina hai shana hai

    taswir ke do ruKH hain jaan aur gham-e-jaanan

    ek naqsh chhupana hai ek naqsh dikhana hai

    ye husn-o-jamal un ka ye ishq-o-shabab apna

    jine ki tamanna hai marne ka zamana hai

    mujh ko isi dhun mein hai har lahza basar karna

    ab aae wo ab aae lazim unhen aana hai

    KHuddari-o-mahrumi mahrumi-o-KHuddari

    ab dil ko KHuda rakkhe ab dil ka zamana hai

    ashkon ke tabassum mein aahon ke tarannum mein

    masum mohabbat ka masum fasana hai

    aansu to bahut se hain aankhon mein 'jigar' lekin

    bandh jae so moti hai rah jae so dana hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    RECITATIONS

    Fahad Husain

    Fahad Husain,

    Fahad Husain

    JIGAR MORADABADI - EK LAFZ E MOHABBAT KA ADNA YE Fahad Husain

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now