Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek rida-e-sabz ki KHwahish bahut mahngi paDi

Iqbal Sajid

ek rida-e-sabz ki KHwahish bahut mahngi paDi

Iqbal Sajid

MORE BYIqbal Sajid

    ik ridā-e-sabz ḳhvāhish bahut mahñgī paḌī

    vaqt paḌne par hameñ bārish bahut mahñgī paḌī

    haath kyā taape ki poroñ se dhuāñ uThne lagā

    sard rut meñ garmī-e-ātish bahut mahñgī paḌī

    mom sīḌhī pe chaḌh kar chhū rahe the āftāb

    phuul se chehroñ ko ye koshish bahut mahñgī paḌī

    ḳhār-e-qismat kyā nikāle haath zaḳhmī kar liye

    nāḳhun-e-tadbīr kāvish bahut mahñgī paḌī

    is amal ne to kahīñ bhī na rakkhā dosto

    ḳhud ko chāhe jaane ḳhvāhish bahut mahñgī paḌī

    zikr-e-qahat-e-rañg se pahle taale paḌ ga.e

    har lab-e-tasvīr ko jumbish bahut mahñgī paḌī

    tund-ḳhū maujoñ ne 'sājid' chāñd sāhil khā liye

    bahr-e-shab meñ amn koshish bahut mahñgī paḌī

    ek rida-e-sabz ki KHwahish bahut mahngi paDi

    waqt paDne par hamein barish bahut mahngi paDi

    hath kya tape ki poron se dhuan uThne laga

    sard rut mein garmi-e-atish bahut mahngi paDi

    mom ki siDhi pe chaDh kar chhu rahe the aaftab

    phul se chehron ko ye koshish bahut mahngi paDi

    KHar-e-qismat kya nikale hath zaKHmi kar liye

    naKHun-e-tadbir ki kawish bahut mahngi paDi

    is amal ne to kahin ka bhi na rakkha dosto

    KHud ko chahe jaane ki KHwahish bahut mahngi paDi

    zikr-e-qahat-e-rang se pahle hi tale paD gae

    har lab-e-taswir ko jumbish bahut mahngi paDi

    tund-KHu maujon ne 'sajid' chand sahil kha liye

    bahr-e-shab mein amn ki koshish bahut mahngi paDi

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 340)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now