ek roz main bhi bagh-e-adan ko nikal gaya
ik roz maiñ bhī bāġh-e-adan ko nikal gayā
toḌī jo shāḳh-e-rañg-fishāñ haath jal gayā
dīvār o saqf o baam na.e lag rahe haiñ sab
ye shahr chand roz maiñ kitnā badal gayā
maiñ so rahā thā aur mirī ḳhvāb-gāh meñ
ik azhdahā charāġh kī lau ko nigal gayā
bachpan kī niiñd TuuT ga.ī us kī chaap se
mere laboñ se naġhma-e-sub.h-e-azal gayā
tanhā.ī ke alaao se raushan huā makāñ
'sarvat' jo dil kā dard thā naġhmoñ meñ Dhal gayā
ek roz main bhi bagh-e-adan ko nikal gaya
toDi jo shaKH-e-rang-fishan hath jal gaya
diwar o saqf o baam nae lag rahe hain sab
ye shahr chand roz main kitna badal gaya
main so raha tha aur meri KHwab-gah mein
ek azhdaha charagh ki lau ko nigal gaya
bachpan ki nind TuT gai us ki chap se
mere labon se naghma-e-subh-e-azal gaya
tanhai ke alao se raushan hua makan
'sarwat' jo dil ka dard tha naghmon mein Dhal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.