Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

anokhi waza hai sare zamane se nirale hain

Allama Iqbal

anokhi waza hai sare zamane se nirale hain

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)

    anokhī vaz.a hai saare zamāne se nirāle haiñ

    ye āshiq kaun bastī ke yā-rab rahne vaale haiñ

    ilāj-e-dard meñ bhī dard lazzat pe martā huuñ

    jo the chhāloñ meñ kāñTe nok-e-sozan se nikāle haiñ

    phalā-phūlā rahe yā-rab chaman merī umīdoñ

    jigar ḳhuun de de kar ye buuTe maiñ ne paale haiñ

    rulātī hai mujhe rātoñ ko ḳhāmoshī sitāroñ

    nirālā ishq hai merā nirāle mere naale haiñ

    na pūchho mujh se lazzat ḳhānamāñ-barbād rahne

    nasheman saikḌoñ maiñ ne banā kar phūñk Daale haiñ

    nahīñ begānagī achchhī rafīq-e-rāh-e-manzil se

    Thahar ai sharar ham bhī to āḳhir miTne vaale haiñ

    umīd-e-hūr ne sab kuchh sikhā rakkhā hai vaa.iz ko

    ye hazrat dekhne meñ sīdhe-sādhe bhole bhāle haiñ

    mire ash.ār ai 'iqbāl' kyuuñ pyāre na hoñ mujh ko

    mire TuuTe hue dil ke ye dard-añgez naale haiñ

    anokhi waza hai sare zamane se nirale hain

    ye aashiq kaun si basti ke ya-rab rahne wale hain

    ilaj-e-dard mein bhi dard ki lazzat pe marta hun

    jo the chhaalon mein kanTe nok-e-sozan se nikale hain

    phala-phula rahe ya-rab chaman meri umidon ka

    jigar ka KHun de de kar ye buTe main ne pale hain

    rulati hai mujhe raaton ko KHamoshi sitaron ki

    nirala ishq hai mera nirale mere nale hain

    na puchho mujh se lazzat KHanaman-barbaad rahne ki

    nasheman saikDon main ne bana kar phunk Dale hain

    nahin beganagi achchhi rafiq-e-rah-e-manzil se

    Thahar ja ai sharar hum bhi to aaKHir miTne wale hain

    umid-e-hur ne sab kuchh sikha rakkha hai waiz ko

    ye hazrat dekhne mein sidhe-sadhe bhole bhaale hain

    mere ashaar ai 'iqbaal' kyun pyare na hon mujh ko

    mere TuTe hue dil ke ye dard-angez nale hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Zia Mohyeddin

    Zia Mohyeddin

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now