Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

majnun ne shahr chhoDa to sahra bhi chhoD de

Allama Iqbal

majnun ne shahr chhoDa to sahra bhi chhoD de

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)

    majnūñ ne shahr chhoḌā to sahrā bhī chhoḌ de

    nazzāre havas ho to lailā bhī chhoḌ de

    vaa.iz kamāl-e-tark se miltī hai yaañ murād

    duniyā jo chhoḌ hai to uqbā bhī chhoḌ de

    taqlīd ravish se to behtar hai ḳhud-kushī

    rasta bhī DhūñD ḳhizr saudā bhī chhoḌ de

    mānind-e-ḳhāma terī zabāñ par hai harf-e-ġhair

    begāna shai pe nāzish-e-bejā bhī chhoḌ de

    lutf-e-kalām kyā jo na ho dil meñ dard-e-ishq

    bismil nahīñ hai to taḌapnā bhī chhoḌ de

    shabnam tarah phūloñ pe ro aur chaman se chal

    is baaġh meñ qayām saudā bhī chhoḌ de

    hai āshiqī meñ rasm alag sab se baiThnā

    but-ḳhāna bhī haram bhī kalīsā bhī chhoḌ de

    saudā-garī nahīñ ye ibādat ḳhudā hai

    ai be-ḳhabar jazā tamannā bhī chhoḌ de

    achchhā hai dil ke saath rahe pāsbān-e-aql

    lekin kabhī kabhī ise tanhā bhī chhoḌ de

    jiinā vo kyā jo ho nafas-e-ġhair par madār

    shohrat zindagī bharosā bhī chhoḌ de

    shoḳhī hai savāl-e-mukarrar meñ ai kalīm

    shart-e-razā ye hai ki taqāzā bhī chhoḌ de

    vaa.iz subūt laa.e jo mai ke javāz meñ

    'iqbāl' ko ye zid hai ki piinā bhī chhoḌ de

    majnun ne shahr chhoDa to sahra bhi chhoD de

    nazzare ki hawas ho to laila bhi chhoD de

    waiz kamal-e-tark se milti hai yan murad

    duniya jo chhoD di hai to uqba bhi chhoD de

    taqlid ki rawish se to behtar hai KHud-kushi

    rasta bhi DhunD KHizr ka sauda bhi chhoD de

    manind-e-KHama teri zaban par hai harf-e-ghair

    begana shai pe nazish-e-beja bhi chhoD de

    lutf-e-kalam kya jo na ho dil mein dard-e-ishq

    bismil nahin hai tu to taDapna bhi chhoD de

    shabnam ki tarah phulon pe ro aur chaman se chal

    is bagh mein qayam ka sauda bhi chhoD de

    hai aashiqi mein rasm alag sab se baiThna

    but-KHana bhi haram bhi kalisa bhi chhoD de

    sauda-gari nahin ye ibaadat KHuda ki hai

    ai be-KHabar jaza ki tamanna bhi chhoD de

    achchha hai dil ke sath rahe pasban-e-aql

    lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhoD de

    jina wo kya jo ho nafas-e-ghair par madar

    shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhoD de

    shoKHi si hai sawal-e-mukarrar mein ai kalim

    shart-e-raza ye hai ki taqaza bhi chhoD de

    waiz subut lae jo mai ke jawaz mein

    'iqbaal' ko ye zid hai ki pina bhi chhoD de

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Zia Mohyeddin

    Zia Mohyeddin

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now