is bulandi pe kahan the pahle
is bulandī pe kahāñ the pahle
ab jo bādal haiñ dhuāñ the pahle
naqsh miTte haiñ to aatā hai ḳhayāl
ret par ham bhī kahāñ the pahle
ab har ik shaḳhs hai ezaaz talab
shahr meñ chand makāñ the pahle
aaj shahroñ meñ haiñ jitne ḳhatre
jañgaloñ meñ bhī kahāñ the pahle
log yuuñ kahte haiñ apne qisse
jaise vo shāh-jahāñ the pahle
TuuT kar ham bhī milā karte the
bevafā tum bhī kahāñ the pahle
is bulandi pe kahan the pahle
ab jo baadal hain dhuan the pahle
naqsh miTte hain to aata hai KHayal
ret par hum bhi kahan the pahle
ab har ek shaKHs hai ezaz talab
shahr mein chand makan the pahle
aaj shahron mein hain jitne KHatre
jangalon mein bhi kahan the pahle
log yun kahte hain apne qisse
jaise wo shah-jahan the pahle
TuT kar hum bhi mila karte the
bewafa tum bhi kahan the pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.