Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is hadse ko dekh ke aankhon mein dard hai

Azhar Inayati

is hadse ko dekh ke aankhon mein dard hai

Azhar Inayati

is hādse ko dekh ke āñkhoñ meñ dard hai

apnī jabīñ pe apne qadmoñ gard hai

aa thoḌī der baiTh ke bāteñ kareñ yahāñ

tere to yaar lahje meñ apnā dard hai

kyā ho ga.iiñ na jaane tirī garm-joshiyāñ

mausam se aaj haath sivā terā sard hai

tārīḳh bhī huuñ utne baras mo.arriḳho

chehre pe mere jitne baras ye gard hai

ai raat tere chāñd sitāroñ meñ vo kahāñ

bujhte hue charāġh lau meñ jo dard hai

'az.har' jo qatl ho gayā vo bhaa.ī thā magar

qātil bhī mere apne qabīle fard hai

is hadse ko dekh ke aankhon mein dard hai

apni jabin pe apne hi qadmon ki gard hai

aa thoDi der baiTh ke baaten karen yahan

tere to yar lahje mein apna sa dard hai

kya ho gain na jaane teri garm-joshiyan

mausam se aaj hath siwa tera sard hai

tariKH bhi hun utne baras ki moarriKHo

chehre pe mere jitne baras ki ye gard hai

ai raat tere chand sitaron mein wo kahan

bujhte hue charagh ki lau mein jo dard hai

'azhar' jo qatl ho gaya wo bhai tha magar

qatil bhi mere apne qabile ka fard hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now