is qadar ab gham-e-dauran ki farawani hai
is qadar ab ġham-e-daurāñ kī farāvānī hai
tū bhī minjumla-e-asbāb-e-pareshānī hai
mujh ko is shahr se kuchh duur Thahar jaane do
mere ham-rāh mirī be-sar-o-sāmānī hai
aañkh jhuk jaatī hai jab band-e-qabā khulte haiñ
tujh meñ uThte hue ḳhurshīd kī uryānī hai
ik tirā lamha-e-iqrār nahīñ mar sakta
aur har lamha zamāne kī tarah faanī hai
kūcha-e-dost se aage hai bahut dasht-e-junūñ
ishq vāloñ ne abhī ḳhaak kahāñ chhānī hai
is tarah hosh gañvānā bhī koī baat nahīñ
aur yuuñ hosh se rahne meñ bhī nādānī hai
is qadar ab gham-e-dauran ki farawani hai
tu bhi minjumla-e-asbab-e-pareshani hai
mujh ko is shahr se kuchh dur Thahar jaane do
mere ham-rah meri be-sar-o-samani hai
aankh jhuk jati hai jab band-e-qaba khulte hain
tujh mein uThte hue KHurshid ki uryani hai
ek tera lamha-e-iqrar nahin mar sakta
aur har lamha zamane ki tarah fani hai
kucha-e-dost se aage hai bahut dasht-e-junun
ishq walon ne abhi KHak kahan chhani hai
is tarah hosh ganwana bhi koi baat nahin
aur yun hosh se rahne mein bhi nadani hai
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Qaba-e-Saaz) (Pg. 72)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.