Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is raaz ke baatin tak pahuncha hi nahin koi

Farrukh Jafari

is raaz ke baatin tak pahuncha hi nahin koi

Farrukh Jafari

is raaz ke bātin tak pahuñchā nahīñ koī

kyuuñ lauT ke ghar apne aayā nahīñ koī

ab shahr ḳhāmoshī vīrāne se miltī hai

āvāz lagā.ī to bolā nahīñ koī

har roz dikhā.ī deñ sab log vahīñ lekin

jab DhūñDne nikleñ to miltā nahīñ koī

hone se ki jin ke thā bastī bharam qaa.em

atrāf meñ shahroñ ke sahrā nahīñ koī

thak-hār ke aa baiThe us peḌ-tale āḳhir

jis peḌ-tale 'farruḳh' saayā nahīñ koī

is raaz ke baatin tak pahuncha hi nahin koi

kyun lauT ke ghar apne aaya hi nahin koi

ab shahr ki KHamoshi virane se milti hai

aawaz lagai to bola hi nahin koi

har roz dikhai den sab log wahin lekin

jab DhunDne niklen to milta hi nahin koi

hone se ki jin ke tha basti ka bharam qaem

atraf mein shahron ke sahra hi nahin koi

thak-haar ke aa baiThe us peD-tale aaKHir

jis peD-tale 'farruKH' saya hi nahin koi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now