is sal sharafat ka libaada nahin pahna
is saal sharāfat kā libāda nahīñ pahnā
pahnā hai magar itnā ziyāda nahīñ pahnā
us ne bhī ka.ī roz se ḳhvāhish nahīñ oḌhī
maiñ ne bhī ka.ī din se irāda nahīñ pahnā
dauḌe haiñ magar sehn se bāhar nahīñ dauḌe
ghar hī meñ rahe paañv meñ jaada nahīñ pahnā
ābād hue jab se yahāñ tañg-nazar log
is shahr ne māhaul kushāda nahīñ pahnā
darvesh nazar aatā thā har haal meñ lekin
'sājid' ne libās itnā bhī saada nahīñ pahnā
is sal sharafat ka libaada nahin pahna
pahna hai magar itna ziyaada nahin pahna
us ne bhi kai roz se KHwahish nahin oDhi
main ne bhi kai din se irada nahin pahna
dauDe hain magar sehn se bahar nahin dauDe
ghar hi mein rahe panw mein jada nahin pahna
aabaad hue jab se yahan tang-nazar log
is shahr ne mahaul kushada nahin pahna
darwesh nazar aata tha har haal mein lekin
'sajid' ne libas itna bhi sada nahin pahna
- Book : kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 119)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.