Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq to mushkil hai ai dil kaun kahta sahl hai

Bahadur Shah Zafar

ishq to mushkil hai ai dil kaun kahta sahl hai

Bahadur Shah Zafar

ishq to mushkil hai ai dil kaun kahtā sahl hai

lek nādānī se apnī ne samjhā sahl hai

gar khule dil girah tujh se to ham jāneñ tujhe

ai sabā ġhunche uqda khol denā sahl hai

hamdamo dil ke lagāne meñ kaho lagtā hai kyā

par chhuḌānā is mushkil hai lagānā sahl hai

garche mushkil hai bahut merā ilāj-e-dard-e-dil

par jo chāhe to ai rashk-e-masīhā sahl hai

hai bahut dushvār marnā ye sunā karte the ham

par judā.ī meñ tirī ham ne jo dekhā sahl hai

sham.a ne jal kar jalāyā bazm meñ parvāne ko

bin jale apne jalānā kyā kisī sahl hai

ishq rasta sarāsar hai dam-e-shamshīr par

bul-havas is raah meñ rakhnā qadam kyā sahl hai

ai 'zafar' kuchh ho sake to fikr kar uqbā

kar na duniyā taraddud kār-e-duniyā sahl hai

ishq to mushkil hai ai dil kaun kahta sahl hai

lek nadani se apni tu ne samjha sahl hai

gar khule dil ki girah tujh se to hum jaanen tujhe

ai saba ghunche ka uqda khol dena sahl hai

hamdamo dil ke lagane mein kaho lagta hai kya

par chhuDana is ka mushkil hai lagana sahl hai

garche mushkil hai bahut mera ilaj-e-dard-e-dil

par jo tu chahe to ai rashk-e-masiha sahl hai

hai bahut dushwar marna ye suna karte the hum

par judai mein teri hum ne jo dekha sahl hai

shama ne jal kar jalaya bazm mein parwane ko

bin jale apne jalana kya kisi ka sahl hai

ishq ka rasta sarasar hai dam-e-shamshir par

bul-hawas is rah mein rakhna qadam kya sahl hai

ai 'zafar' kuchh ho sake to fikr kar uqba ka tu

kar na duniya ka taraddud kar-e-duniya sahl hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now