Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isi liye to yahan ab bhi ajnabi hun main

Bashir Badr

isi liye to yahan ab bhi ajnabi hun main

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    isī liye to yahāñ ab bhī ajnabī huuñ maiñ

    tamām log farishte haiñ aadmī huuñ maiñ

    za.iif būḌhī jo pul par udaas baiThī hai

    usī aañkh meñ likkhā hai zindagī huuñ maiñ

    hai pakkī umroñ ik be-zabān laḌkī

    usī rishta huuñ aur vo bhī āḳhirī huuñ maiñ

    tamām raat charāġhoñ meñ muskurātī thī

    vo ab nahīñ hai magar us raushnī huuñ maiñ

    kahīñ maiñ aur thā maġhrib jo azaañ na sunī

    in āñsuoñ meñ sahar namāz bhī huuñ maiñ

    sitāre raah ke haiñ 'mīr'-o-'ġhālib'-o-'iqbāl'

    qalam huuñ bachche taḳhtī na.ī na.ī huuñ maiñ

    agar vo chāheñ to zinda jalā bhī sakte haiñ

    du'ā ke haath hukūmat bebasī huuñ maiñ

    isi liye to yahan ab bhi ajnabi hun main

    tamam log farishte hain aadmi hun main

    zaif buDhi jo pul par udas baiThi hai

    usi ki aankh mein likkha hai zindagi hun main

    hai pakki umron ki ek be-zaban si laDki

    usi ka rishta hun aur wo bhi aaKHiri hun main

    tamam raat charaghon mein muskuraati thi

    wo ab nahin hai magar us ki raushni hun main

    kahin main aur tha maghrib ki jo azan na suni

    in aansuon mein sahar ki namaz bhi hun main

    sitare rah ke hain 'mir'-o-'ghaalib'-o-'iqbaal'

    qalam hun bachche ka taKHti nai nai hun main

    agar wo chahen to zinda jala bhi sakte hain

    du'a ke hath hukumat ki bebasi hun main

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now