jaan apni chali jae he jae se kasu ki
jaan apni chali jae he jae se kasu ki
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
jaan apnī chalī jaa.e he jaa.e se kasū kī
aur jaan meñ jaan aa.e hai aa.e se kasū kī
vo aag lagī paan chabā.e se kasū kī
ab tak nahīñ bujhtī hai bujhā.e se kasū kī
bujhne de zarā ātish-e-dil aur na bhaḌkā
mehñdī na lagā yaar lagā.e se kasū kī
kyā soiye phir ġhul hai dar-e-yār pe shāyad
chauñkā hai vo zanjīr hilā.e se kasū kī
kah do na uThā.e vo mujhe paas se apnī
jī baiThā hī jaatā hai uThā.e se kasū kī
jab maiñ ne kahā aa.iye man jā.iye bole
ham aur bhī rūTheñge manā.e se kasū kī
chuppī meñ jo kuchh baat kī maiñ ne to ye bole
ham to nahīñ dabne ke dabā.e se kasū kī
yaaro na charāġh aur na maiñ sham.a huuñ lekin
har shaam ko jaltā huuñ jalā.e se kasū kī
paatā nahīñ ghar us kā samajhtā hī nahīñ hai
is bait ke ma.anī bhī batā.e se kasū kī
jab us se kahā merī sifārish meñ kasū ne
hāsil bhī rulā.e se kuḌhā.e se kasū kī
ik ta.an se ye hañs ke lagā kahne ki be-shak
ham rolte motī haiñ rulā.e se kasū kī
kahtā hai ki 'ehsāñ' na kahegā to sunegā
matl.a ye kahā maiñ ne kahā.e se kasū kī
jaan apni chali jae he jae se kasu ki
aur jaan mein jaan aae hai aae se kasu ki
wo aag lagi pan chabae se kasu ki
ab tak nahin bujhti hai bujhae se kasu ki
bujhne de zara aatish-e-dil aur na bhaDka
mehndi na laga yar lagae se kasu ki
kya soiye phir ghul hai dar-e-yar pe shayad
chaunka hai wo zanjir hilae se kasu ki
kah do na uThae wo mujhe pas se apni
ji baiTha hi jata hai uThae se kasu ki
jab main ne kaha aaiye man jaiye bole
hum aur bhi ruThenge manae se kasu ki
chuppi mein jo kuchh baat ki main ne to ye bole
hum to nahin dabne ke dabae se kasu ki
yaro na charagh aur na main shama hun lekin
har sham ko jalta hun jalae se kasu ki
pata nahin ghar us ka samajhta hi nahin hai
is bait ke mani bhi batae se kasu ki
jab us se kaha meri sifarish mein kasu ne
hasil bhi rulae se kuDhae se kasu ki
ek tan se ye hans ke laga kahne ki be-shak
hum rolte moti hain rulae se kasu ki
kahta hai ki 'ehsan' na kahega to sunega
matla ye kaha main ne kahae se kasu ki
- Kulliyat-e-Ehsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.