jaane kya dil pe bar hai aisa
jaane kyā dil pe baar hai aisā
be-dilī kā shikār hai aisā
aa gayā hai to sair kartā chal
ye galī ye dayār hai aisā
yā shab-e-intizār hai aisī
yā mujhe intizār hai aisā
kis pe khulte haiñ raat ke asrār
kaun yaañ shab-guzār hai aisā
bhūlte hī nahīñ firāq ke din
ye safar yādgār hai aisā
vaqt kā pesh-rau huuñ maiñ 'ġhā.er'
har qadam merā yaar hai aisā
jaane kya dil pe bar hai aisa
be-dili ka shikar hai aisa
aa gaya hai to sair karta chal
ye gali ye dayar hai aisa
ya shab-e-intizar hai aisi
ya mujhe intizar hai aisa
kis pe khulte hain raat ke asrar
kaun yan shab-guzar hai aisa
bhulte hi nahin firaq ke din
ye safar yaadgar hai aisa
waqt ka pesh-rau hun main 'ghaer'
har qadam mera yar hai aisa
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 43)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.