Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jao main tum se bolti hi nahin

Sadia Swera

jao main tum se bolti hi nahin

Sadia Swera

jaao maiñ tum se boltī nahīñ

tum mohabbat ke aadmī nahīñ

tum to aise batā rahe ho mujhe

maiñ to jaise paḌhī likhī nahīñ

maiñ ne dil meñ utar ke dekhā hai

vo mohabbat to ab rahī nahīñ

roz ham chaa.e saath piite the

baat aage kabhī baḌhī nahīñ

ab to tum bhī samajh ga.e hoge

maiñ tumhāre liye banī nahīñ

is ko ḳhud jagānā paḌtā hai

varna qismat to jāgtī nahīñ

paanī jaisā mizāj hai us

'ishq aag phailtī nahīñ

apnī tā'rīf aise karte ho

jaise maiñ tum ko jāntī nahīñ

bachche kitne sharīr ho ga.e haiñ

kaisī maañ hai ki DāñTtī nahīñ

jao main tum se bolti hi nahin

tum mohabbat ke aadmi hi nahin

tum to aise bata rahe ho mujhe

main to jaise paDhi likhi hi nahin

main ne dil mein utar ke dekha hai

wo mohabbat to ab rahi hi nahin

roz hum chae sath pite the

baat aage kabhi baDhi hi nahin

ab to tum bhi samajh gae hoge

main tumhaare liye bani hi nahin

is ko KHud hi jagana paDta hai

warna qismat to jagti hi nahin

pani jaisa mizaj hai us ka

'ishq ki aag phailti hi nahin

apni ta'rif aise karte ho

jaise main tum ko jaanti hi nahin

bachche kitne sharir ho gae hain

kaisi man hai ki DanTti hi nahin

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now