jab raat ki tanhai dil ban ke dhaDakti hai
jab raat kī tanhā.ī dil ban ke dhaḌaktī hai
yādoñ ke darīchoñ meñ chilman sī saraktī hai
lobān meñ chingārī jaise koī rakh jaa.e
yuuñ yaad tirī shab bhar siine meñ sulagtī hai
yuuñ pyaar nahīñ chhuptā palkoñ ke jhukāne se
āñkhoñ ke lifāfoñ meñ tahrīr chamaktī hai
ḳhush-rang parindoñ ke lauT aane ke din aa.e
bichhḌe hue milte haiñ jab barf pighaltī hai
shohrat kī bulandī bhī pal bhar kā tamāshā hai
jis Daal pe baiThe ho vo TuuT bhī saktī hai
jab raat ki tanhai dil ban ke dhaDakti hai
yaadon ke darichon mein chilman si sarakti hai
loban mein chingari jaise koi rakh jae
yun yaad teri shab bhar sine mein sulagti hai
yun pyar nahin chhupta palkon ke jhukane se
aankhon ke lifafon mein tahrir chamakti hai
KHush-rang parindon ke lauT aane ke din aae
bichhDe hue milte hain jab barf pighalti hai
shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai
jis Dal pe baiThe ho wo TuT bhi sakti hai
- Book : Aahat (Pg. 4)
- Author : Bashir Badar
- Publication : M.R. Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.