Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab yar ne uTha kar zulfon ke baal bandhe

Mohammad Rafi Sauda

jab yar ne uTha kar zulfon ke baal bandhe

Mohammad Rafi Sauda

MORE BYMohammad Rafi Sauda

    jab yaar ne uThā kar zulfoñ ke baal bāñdhe

    tab maiñ ne apne dil meñ lākhoñ ḳhayāl bāñdhe

    do din meñ ham to rījhe ai vaa.e haal un

    guzre haiñ jin ke dil ko yaañ māh-o-sāl bāñdhe

    tār-e-nigah meñ us ke kyūñkar phañse na ye dil

    āñkhoñ ne jis ke lākhoñ vahshī ġhazāl bāñdhe

    jo kuchh hai rañg us so hai nazar meñ apnī

    go jaama zard pahne chīra laal bāñdhe

    tere sāmne kuchh bahke hai merā naala

    varna nishāne ham ne maare haiñ baal bāñdhe

    bose to hai ḳhvāhish par kahiye kyūñki us se

    jis mizāj lab par harf-e-savāl bāñdhe

    māroge kis ko se kis par kamar kasī hai

    phirte ho kyuuñ pyāre talvār Dhaal bāñdhe

    do-chār sher aage us ke paḌhe to bolā

    mazmūñ ye ne apne kyā hasb-e-hāl bāñdhe

    'saudā' jo un ne bāñdhā zulfoñ meñ dil sazā hai

    sheroñ meñ us ke ne kyuuñ ḳhatt-o-ḳhāl bāñdhe

    jab yar ne uTha kar zulfon ke baal bandhe

    tab main ne apne dil mein lakhon KHayal bandhe

    do din mein hum to rijhe ai wae haal un ka

    guzre hain jin ke dil ko yan mah-o-sal bandhe

    tar-e-nigah mein us ke kyunkar phanse na ye dil

    aankhon ne jis ke lakhon wahshi ghazal bandhe

    jo kuchh hai rang us ka so hai nazar mein apni

    go jama zard pahne ya chira lal bandhe

    tere hi samne kuchh bahke hai mera nala

    warna nishane hum ne mare hain baal bandhe

    bose ki to hai KHwahish par kahiye kyunki us se

    jis ka mizaj lab par harf-e-sawal bandhe

    maroge kis ko ji se kis par kamar kasi hai

    phirte ho kyun pyare talwar Dhaal bandhe

    do-chaar sher aage us ke paDhe to bola

    mazmun ye tu ne apne kya hasb-e-haal bandhe

    'sauda' jo un ne bandha zulfon mein dil saza hai

    sheron mein us ke tu ne kyun KHatt-o-KHal bandhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now