Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut se logon ko gham ne jila ke mar diya

Abdul Hamid Adam

bahut se logon ko gham ne jila ke mar diya

Abdul Hamid Adam

MORE BYAbdul Hamid Adam

    bahut se logoñ ko ġham ne jilā ke maar diyā

    jo bach rahe the unheñ mai pilā ke maar diyā

    ye kyā adā hai ki jab un barhamī se ham

    na mar sake to hameñ muskurā ke maar diyā

    na jaate aap to āġhosh kyuuñ tahī hotī

    ga.e to aap ne pahlū se ke maar diyā

    mujhe gila to nahīñ aap ke taġhāful se

    magar huzūr ne himmat baḌhā ke maar diyā

    na aap aas bañdhāte na ye sitam hotā

    hameñ to aap ne amrit pilā ke maar diyā

    kisī ne husn-e-taġhāful se jaañ talab kar

    kisī ne lutf ke dariyā bahā ke maar diyā

    jise bhī maiñ ne ziyāda tapāk se dekhā

    usī hasīn ne patthar uThā ke maar diyā

    vo log māñgeñge ab ziist kis ke āñchal se?

    jinheñ huzūr ne dāman chhuḌā ke maar diyā

    chale to ḳhanda-mizājī se rahe the ham

    kisī hasīn ne raste meñ aa ke maar diyā

    rah-e-hayāt meñ kuchh aise pech-o-ḳham to na the

    kisī hasīn ne raste meñ aa ke maar diyā

    karam sūrat-e-avval to jāñ-gudāz na thī

    karam dūsrā pahlū dikhā ke maar diyā

    ajiib ras-bharā rahzan thā jis ne logoñ ko

    tarah tarah adā.eñ dikhā ke maar diyā

    ajiib ḳhulq se ik ajnabī musāfir ne

    hameñ ḳhilāf-e-tavaqqo.a bulā ke maar diyā

    'adam' baḌe adab-ādāb se hasīnoñ ne

    hameñ sitam nishāna banā ke maar diyā

    ta.ayyunāt had tak to rahā thā 'adam'

    ta.ayyunāt ke parde uThā ke maar diyā

    bahut se logon ko gham ne jila ke mar diya

    jo bach rahe the unhen mai pila ke mar diya

    ye kya ada hai ki jab un ki barhami se hum

    na mar sake to hamein muskura ke mar diya

    na jate aap to aaghosh kyun tahi hoti

    gae to aap ne pahlu se ja ke mar diya

    mujhe gila to nahin aap ke taghaful se

    magar huzur ne himmat baDha ke mar diya

    na aap aas bandhate na ye sitam hota

    hamein to aap ne amrit pila ke mar diya

    kisi ne husn-e-taghaful se jaan talab kar li

    kisi ne lutf ke dariya baha ke mar diya

    jise bhi main ne ziyaada tapak se dekha

    usi hasin ne patthar uTha ke mar diya

    wo log mangenge ab zist kis ke aanchal se?

    jinhen huzur ne daman chhuDa ke mar diya

    chale to KHanda-mizaji se ja rahe the hum

    kisi hasin ne raste mein aa ke mar diya

    rah-e-hayat mein kuchh aise pech-o-KHam to na the

    kisi hasin ne raste mein aa ke mar diya

    karam ki surat-e-awwal to jaan-gudaz na thi

    karam ka dusra pahlu dikha ke mar diya

    ajib ras-bhara rahzan tha jis ne logon ko

    tarah tarah ki adaen dikha ke mar diya

    ajib KHulq se ek ajnabi musafir ne

    hamein KHilaf-e-tawaqqoa bula ke mar diya

    'adam' baDe adab-adab se hasinon ne

    hamein sitam ka nishana bana ke mar diya

    tayyunat ki had tak to ji raha tha 'adam'

    tayyunat ke parde uTha ke mar diya

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Adm (Pg. 265)
    • Author : Khwaja Mohammad Zakariya
    • Publication : Alhamd Publications, Lahore (2009)
    • Edition : 2009

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now