Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh ishq tha kuchh majburi thi so maine jiwan war diya

Obaidullah Aleem

kuchh ishq tha kuchh majburi thi so maine jiwan war diya

Obaidullah Aleem

kuchh ishq thā kuchh majbūrī thī so maiñ ne jīvan vaar diyā

maiñ kaisā zinda aadmī thā ik shaḳhs ne mujh ko maar diyā

ik sabz shāḳh gulāb thā ik duniyā apne ḳhvāb thā

vo ek bahār jo aa.ī nahīñ us ke liye sab kuchh haar diyā

ye sajā-sajāyā ghar sāthī mirī zaat nahīñ mirā haal nahīñ

ai kaash kabhī tum jaan sako jo is sukh ne āzār diyā

maiñ khulī huī ik sachchā.ī mujhe jānñe vaale jānte haiñ

maiñ ne kin logoñ se nafrat aur kin logoñ ko pyaar diyā

vo ishq bahut mushkil thā magar āsān na thā yuuñ jiinā bhī

us ishq ne zinda rahne mujhe zarf diyā pindār diyā

maiñ rotā huuñ aur āsmān se taare TūTte dekhtā huuñ

un logoñ par jin logoñ ne mire logoñ ko āzār diyā

vo yaar hoñ mahbūb mire kabhī kabhī milne vaale

ik lazzat sab ke milne meñ vo zaḳhm diyā pyaar diyā

mire bachchoñ ko allāh rakhe in taaza havā ke jhoñkoñ ne

maiñ ḳhushk peḌ ḳhizāñ thā mujhe kaisā barg-o-bār diyā

kuchh ishq tha kuchh majburi thi so main ne jiwan war diya

main kaisa zinda aadmi tha ek shaKHs ne mujh ko mar diya

ek sabz shaKH gulab ki tha ek duniya apne KHwab ki tha

wo ek bahaar jo aai nahin us ke liye sab kuchh haar diya

ye saja-sajaya ghar sathi meri zat nahin mera haal nahin

ai kash kabhi tum jaan sako jo is sukh ne aazar diya

main khuli hui ek sachchai mujhe jaanne wale jaante hain

main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon ko pyar diya

wo ishq bahut mushkil tha magar aasan na tha yun jina bhi

us ishq ne zinda rahne ka mujhe zarf diya pindar diya

main rota hun aur aasman se tare TuTte dekhta hun

un logon par jin logon ne mere logon ko aazar diya

wo yar hon ya mahbub mere ya kabhi kabhi milne wale

ek lazzat sab ke milne mein wo zaKHm diya ya pyar diya

mere bachchon ko allah rakhe in taza hawa ke jhonkon ne

main KHushk peD KHizan ka tha mujhe kaisa barg-o-bar diya

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Obaidullah Aleem

Obaidullah Aleem

Farida Khanum

Farida Khanum

RECITATIONS

Atir Ali Syed

Atir Ali Syed,

00:00/00:00
Atir Ali Syed

kuchh ishq thaa kuchh majbuurii thii so mai.n ne jiivan vaar diyaa Atir Ali Syed

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now