jhamak dikhate hi us dil-ruba ne luT liya
jhamak dikhāte hī us dil-rubā ne luuT liyā
hameñ to pahle hī us kī adā ne luuT liyā
nigah ke Thag kī lagāvaT ne fan se kar ġhāfil
hañsī ne Daal dī phāñsī duā ne luuT liyā
vafā jafā ne ye kī jañg-e-zar-garī ham se
vafā ne bātoñ lagāyā jafā ne luuT liyā
luTe ham us kī galī meñ to yuuñ pukāre log
ki ik faqīr ko ik bādshā ne luuT liyā
abhī kaheñ to kisī ko na e'tibār aave
ki ham ko raah meñ ik āshnā ne luuT liyā
hazāroñ qāfile jis shoḳh ne kiye ġhārat
'nazīr' ko bhī usī bevafā ne luuT liyā
jhamak dikhate hi us dil-ruba ne luT liya
hamein to pahle hi us ki ada ne luT liya
nigah ke Thag ki lagawaT ne fan se kar ghafil
hansi ne Dal di phansi dua ne luT liya
wafa jafa ne ye ki jang-e-zar-gari hum se
wafa ne baaton lagaya jafa ne luT liya
luTe hum us ki gali mein to yun pukare log
ki ek faqir ko ek baadsha ne luT liya
abhi kahen to kisi ko na e'tibar aawe
ki hum ko rah mein ek aashna ne luT liya
hazaron qafile jis shoKH ne kiye ghaarat
'nazir' ko bhi usi bewafa ne luT liya
- Book : Intekhab-e-Nazeer Akbarabadi (Pg. 205)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.